
Ek bahut hi alishan se kamre ke andar ek ladki apni Aankhen dheere dheere kholti hai.
Uske sar par is waqt use bahut dard ho rha tha woh apna sar pakad kar Beth jati hai aur charo taraf dekh kar sochti hai, "main kahan hu, kya main narak mein aa gai hu."
Vah apni adh khuli aankhon se idhar udhar dekhne lagti hai, Lekin use sab kuchh Jana pahchana sa lagta hai isiliye vah uthkar baith jaati hai aur Dhyan se Charon or dekhne lagti hai.
Achanak se hairani se uski Aankhen bari bari Ho jaati hai aur uska munh khula ka khula reh jata hai, kyunki is waqt vah Apne kamre mein apne bistar per baithi hui thi.
"Nhi, nhi, aisa nhi ho sakta, sayad main koi sapna dekh rahi hu." Usne socha.
Usne kuchh seconds ke liye apni Aankhen band ki aur Kholi, lekin fir bhi use vahi cheezen najar aa rahi thi usne fir se apni Aankhen band hi aur Kholi, usne kam se kam Aisa 10 bar Kiya.
Jab usne dobara apni Aankhen Kholi to use vahi sab najar aa raha tha iska matlab yah uska Sapna nahin tha balki yah hakikat thi. Woh hairan Ho jaati hai aur jaldi se bistar se uthkar mirror ke samne khadi Ho jaati hai.
Vah Apne chehre ki taraf dekhti hai aur use apni aankhon per yakin nhi hota, uske chehre per ek bhi daag nahin tha, iska matlab tha ki uska kidnap nahin hua tha. Vah jaldi se apna phone dhundhne lagti hai aur date check karti hai.
"Kya!!!! Aisa kaise ho sakta hai, kya yeh sach hai, aaj 15 February 2025 hai.., iska matlab mera rebirth hua hai.. aisa sach mein bhi hota hai, mujhe laga tha yeh sab sirf kitabe aur kahaniyan mein hoti hai."
Yeh sab soch kar Shivangi bhagwan ka shukriya aada karti hai ki unhone use ek or moka Diya apni galti sudhar ne ka, apne pyar ko wapas pane ka aur un logo se badla lene ka jisne use dhokha diya tha.
Woh apne phone ko side table par rakhti hai aur us room ko acche se dekhne lagti hai us room se uski bahut si yaadein juri thi.
Aaj itne saalon baad wapas apne room ko dekh kar use bahut khushi ho rahi thi. Woh ek wall ke samne jakar khadi ho jati hai jahan par uski puri family ki photo lagi hua thi.
Ek photo mein woh or uske mummy papa samne ki taraf dekh kar muskura rahe the. Us photo ko dekh kar uske aankhon mein aansu aa jate hai.
Use yaad aane lagta hai kaise uski ek galti ki wajah se uske parents or uske in laws ki maut ho gai thi, us waqt ko yaad karke woh wapas se rone lagti hai.
Tabhi uski nazar ek aur tasvir par jati hai jise dekh kar uski aankhon mein khoon utar aata hai or uska chehra gusse ke laal ho jata hai.
Woh gusse se us tasvir ke pass jati hai aur us tasvir ko uthakar bahut jor se jamin mein fekh deti hai jisse kanch ke tukde zamin mein fail jaate Hain.
Is waqt uski aankhon mein us insaan ke liye beintehaa nafrat thi, yeh wahi shakhs tha jiski wajah se uski zindagi barbaad ho gai thi.
Write a comment ...